Rishta
Man ka kahna maanke humne
Jeevan ka rukh mod diya hai
Khushiyon ki rahen chun lee hain
Gum ka daman chhod diya hai
Sookhisi sunsan rah ko
Halkasa ek mod diya hai
Patjhad ke saaye mein pali jo
Un galiyon ko chhod diya hai
Jabse ummiden jaagi hain
Yaas ka haath marod diya hai
Badal ka chanchal lahrata
Aanchal sar pe odh diya hai
Har seema ko langh chuke hain
Har ek bandhan tod diya hai
Bhool chuke sab rishte ab to
Khud se rishta jod diya hai